Tuesday, January 11, 2011

Chalo ek baar phir se,

Chalo ek baar phir se, ajnabi ban jaye hum dono

Na main tumse koi ummeed rakhoon dilnavaazi ki
Na tum meri taraf dekho galat andaaz nazaron se

Na mere dil ki dhadkan ladkhadaaye meri baaton mein
Na zaahir ho tumhaari kashm-kash ka raaz nazaron se


Tumhen bhi koi uljhan rokti hai peshkadmi se
Mujhe bhi log kehte hain, k yeh jalve paraaye hain

Mere hamraah bhi rusvaaiyaan hain mere maazi ki
Tumhaare saath bhi guzri hui raaton k saaye hain

Taarruf rog ho jaaye to usko bhoolnaa behtar
Taalluk bojh ban jaaye to usko todnaa acha
Woh afsaana jise anjaam tak laana na ho mumkin
Usey ek khoobsoorat mod dekar chhodna acha

No comments:

Post a Comment