Monday, January 24, 2011

Courage

The courage ==> I need
I need the courage ==> to control my instincts
The courage ==> I need to face my fears
I need the courage ==> to see the future
The courage ==> I need to compare facts and opinion
I need the courage ==> to think right
The courage ==> I need to see if my friends trust me
I need the courage ==> to ask questions
The courage ==> I need to survive
I need the courage ==> to convince myself to do something
I have to prepare myself for any thing that comes up!
 

Sunday, January 16, 2011

koi jab tumhaara

koi jab tumhaara
hriiday tod de
tadapta hua jab
koi chhod de
tab tum mere paas
aana priye
mera dar khula hai
khula hi rahega
tumhaare liye
koi jab
abhi tum ko meri
zaroorat nahi
bahut chaahne waale
mil jaayenge
abhi roop ka ek
saagar ho tum
kanval jitne chaahogi
khil jaayenge
darpan tumhen
jab daraane lage
jawaani bhi daaman
chhudaane lage
tab tum mere paas
aana priye
mera sar jhuka hai
jhuka hi rahega
tumhaare liye
koi jab
koi shart hoti nahi
pyaar mein
magar pyaar sharton pe
tumne kiya
nazar mein sitaare
jo chamke zara
bujhane lagi
aarti ka diya
jab apni nazar mein hi
girne lago
andheron mein apne hi
ghirne lago
tab tum mere paas
aana priye
ye deepak jala hai
jala hi rahega
tumhaare liye
koi jab

Tuesday, January 11, 2011

Chalo ek baar phir se,

Chalo ek baar phir se, ajnabi ban jaye hum dono

Na main tumse koi ummeed rakhoon dilnavaazi ki
Na tum meri taraf dekho galat andaaz nazaron se

Na mere dil ki dhadkan ladkhadaaye meri baaton mein
Na zaahir ho tumhaari kashm-kash ka raaz nazaron se


Tumhen bhi koi uljhan rokti hai peshkadmi se
Mujhe bhi log kehte hain, k yeh jalve paraaye hain

Mere hamraah bhi rusvaaiyaan hain mere maazi ki
Tumhaare saath bhi guzri hui raaton k saaye hain

Taarruf rog ho jaaye to usko bhoolnaa behtar
Taalluk bojh ban jaaye to usko todnaa acha
Woh afsaana jise anjaam tak laana na ho mumkin
Usey ek khoobsoorat mod dekar chhodna acha